yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

Wednesday, June 20, 2012 · Posted in

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai
ek bejurm sazaa ho jaise

dard ko hum pyar ke qabil samjh baithe

Tuesday, June 19, 2012 · Posted in ,


ek be-dard ko hum pyar ke qabil samjh baithe
khata apni thi pathar ko dhadkata dil samjh baithe,

fareb e aarzoo tha jis ko humne pyar samjha tha
bhanwar tha jis ko hum taqdeer ka sahil samjh baithe,

wo rishta jis ko ek din khwaab ban kar toot jana tha
us rishte ko hum apni umar ka hasil samjh baithe,

ab ek lamba safar hai yahan ajnabi raahon ka
wo ik nazaron ka dhokha tha jise manzil samjh baithe

Poochte hen log mujhse

Friday, June 8, 2012 · Posted in

poochte hen log mujhse
teri muhabat ka imtihan kesa tha ?
raheta tha too jahan khushyon ke sath
tera wo makan kesa tha
rula rakha he jahan ko teri dard bhari zuban ne
thamadi qalam jisne hath me tere wo insan kesa tha
pahechan liya teri muhabat ko is muhabat ne bhi
na jan saka jo tera pyar wo anjan kesa tha
puhchadiya jisne tanhai ke takht pe tumhen
us shakhs ka ghar uska jahan kesa tha
toota jo teri dil ki masoom zameen par
dard ka wo zalim asman kesa tha
thaher gaya jo tere dil me yaad bankar
ur gaya parindon ki tarha wo maheman kesa tha
aaj tak teri zuban se bayan na ho saka abbas
bata to sahi dard bhari dastan ka wo bayan kesa tha
poochte hen log mujhe
teri muhabat ka imtihan kesa tha
raheta tha too jahan khushyon ke sath
tera wo makan kesa tha ???

Rooth jana chorde

· Posted in

ye zara zara si baat pe rooth jana chorde
rula kar jee bharke phir se manana chorde
manta hon khilona mitti ka hon par rooh.e.muhabat he mujhe
yon har roaz mujhse dil bahelana chorde
naqab me raheke benaqaab na kar begunnahon ko is tarha
hosh urjate hen yon palkon se parda hatana chorde
aala he gar tameer tere husun ki to apni wafa bhi urooj par he
yon is dilwale deewane ko bar bar azmana chorde
najoomi ko bhi huaa naaz mere hath ki lakeeren dekh kar
maen nahi tere muqadar me ye bahana chorde
usool.e.kainat dastoor.e.dunya dilwale jante nahi
aag ham se he jalti ham ko jalana chorde
muhabat ke darya me sahil hua nahi karte abbas!
apna le hamen aas kinaron ki lagana chorde
ye zara zara si baat pe rooth jana chorde
rula kar jee bharke phir se manana chorde.

koi alfaz nahi milta likhne ke leye

· Posted in

koi alfaz nahi milta likhne ke leye
us hasti pe kalam or kitab utha te hue
khud bhi roti he kasrat se meri kitab
or kaheti he mujhe bhi rulate hue
kia likho ge us maa ke baare me
jo jaagti rahi har raat tujhe sulate hue
har ik tamana poori ki teri zindagi bhar
tujhe hasaya apne dard ko bhulate hue
apni bhook bhool jati thi khudgarz banke
dekh leti thi jo tujhe kasrat se khate hue
phoolon ki tarha khil uthta tha jis ka chehra
ankhen dekhti jiski tujhe kahin se aate hue
bhool jaati thi dard ko kanton pe chal kar bhi
hasti thi wo bas har waqt tujhe hasate hue
yon koi shikayat nathi use khuda ke feslon se
dukh mile tujhe to roti thi sada lagate hue
saya bhi na parne dia mot ka tujpe abbas
tere hath bhi na kanpe jise dafnate hue
khud bhi roti he kasrat se meri kitab
or kaheti he mujhe rulate hue
kia likho ge tum us maa ke baare me
jo jaagti rahi har raat tujhe sulate hue

SHARAAB

Tuesday, May 15, 2012 · Posted in

Duriyaa Aasani Se Mitati Hai
“SHARAAB”,
Majburiyon Ko Nashe Me Nachati
Hai “SHARAAB”….
Aansuwo Ko Mila De Tu Apne Har
Ek Jaam ME,
Fir Dekh Kaise Yaadon Ko Aur
Kareeb Lati Hai “SHARAAB”…..
Thake Chuke Hai Jo Is Duniya Ke
Sitamo Se,
Unhe Do Pal Ki Rahat Dilati Hai
“SHARAAB”…..
Pankh Laga Ke Aasmaan Me Ud
Jaate Hai Jo Panchi,
Do Ghoot Me Unhe Baho Me La
Sakti Hai “SHARAAB”…..
Jiss Ka Hath Sari Duniya Chod Deti
Hai,
Unke Hatho Me Aksar Paayi Jati Hai
“SHARAAB”….
Kabhi Bhi Apne Gumon Ko Bhulna
Ho To Keh Dena,
Kitne Bhi Bade Gum Me Kisiko Bhi
Hasati Hai “SHARAAB”

Me jo Bhatak gaya to Bat kya

· Posted in

Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya
Sari Duniya Roti hai Chup kar
Me jo thoda Ro liya to Bat Kya
Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki
Maine thoda Soch liya to Bat Kya
Roshni ki Chah to sab ko hai
Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya
Zindagi k is Haseen Khwab me
Maine Use mang liya to Bat Kya
Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha
Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya
Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya

Kya dhoop mein baarish hoti hai

· Posted in

Jab mai ne us se poocha tha.
Kya dhoop mein baarish hoti hai.
Woh hanstay hanstay ronay lagi
Aor dhoop mein baarish honay lagi.
Nazuk c kali murjha c gayi
... Aur ro kr mujh se kehnay lagi.
Tum chorr na jana o sajan.
Dil torr na jana o sajan.
Tum kya jano
Dhoop ki baarish ko.
Tum kya jano
Hijr ki garmi ko...?? Jab tum door thay
mujhse o sajan..
Mere haath ki choorri aor kangan
Jab geet tumhare gaatay thay.
Mujhe yaad boht tum aatay thay..
Mai hanstay hanstay roti thi....!!
Aor dhoop mein baarish hoti